Tuesday 30 April 2013

Mata Shitala Ki Katha

Jai Mata Shitala
Mai sabse pehle mata se aaradhna karta hu ki he ma yadi mere se kahani batane me kahi koi truti ho to mujhe maaf karna. mai bhi mata ka ek chhota sa sevak hu aur ye kahani mujhe ek kitab se pata chali jo ki maine mata shitala ke mandir ke pass ke bazar se liya tha.

Jab prabhu sri Ram, Laxman aur mata shita 14 varsh ke liye vanvaas ja rahe the to unko kevat ne nadi paar karaya, naav se utarne pe mata shitala ne kevat se utrai puchha to kevat bola he ma is jagat ke prabhu Ram se mai kya bhala utrai le sakta hu, he ma jaise maine aapko paar lagaya hai vaise hi jab ant samay mai aapke dwar aaunga to mujhe bhav sagar paar laga dena. mata kevat ki chaturai se bahut prasann hui. Mata ne bola he kevat mai kalyug me shitala ke naam se pragat houngi aur tum mangar majhi ke naam se aur tumhare hi hatho meri puja hogi.

kaha jata hai ki jis samay mughalo ka rajya tha us samay mata shitala Manikpur me pragat hui thi. Lekin mughal log maans madira khaate the aur apashisht mandir ke ird-gird phek diya karte the.Isse mata ne apna ek ansh waha chhod kar kul 14 murtiyo se saath ganga me pravahit ho gayi.

Wohi kevat mangar majhi ke naam se uttar pradesh ke chunar jile ke adalpura gaon me paida huye. adalpur manjhiyo ka gaon tha aur hai bhi. Mangar roj sham ko machhali marne ganga ji jata tha.
Ek raat jab mangar machhali marte marte thak gaya to naav kinaare laga ke socha ki aaram kar leta hu. wo so jaata hai. raat ko achanak bijli chamkane lagti hai aur ganga ki dhara tej ho jati hai. achanak aawaz aati hai mangar, ye mangar uth , mujhe yanha se nikal, mujhe yanha se nikal, mangar ghabra ke uth jaata hai aur idhar udhar dekhta hai. wo apne ghar ko wapas chala jaata hai, agale din phir yahi ghatana hoti hai to mangar aur bhi ghabara jata hai. mangar ne thik se khana pina bhi chhod diya ek din jab uski patni ne khana diya to wo do roti kha ke uth jaata hai to uski patni bolti hai, ki aapko kya ho gaya hai, aap thik se khana bhi nahi khaate kya baat hai, mangar baat ko taal deta hai..

agale din phir wahi haal mangar thik se khana nahi khata, to uski patni ne puchh ato mangar ne puri kahani kah sunaai, to uski patni ne bola aise ghabarane se kaam nahi chalega, hum logo ko ye baat pure gaon ke majhiyo ke saamne rakhni chaahiye. jaise hi subah hui saare gaon walr ek jagah pe jut gaye aur mangar ne bola nere najhi bhaiyo kareeb char din se mere saath ek ajeeb ghatana ghat rahi hai, mai jab naav leke ganga me machhali marne jaat hu tab tab mujhe ek ajeeb si aawaz sunai deti hai. yah aawaz kisi aurat ki lagti hai.wo kahati hai mujhe yanha se nikalo, mujhe yanha se nikalo, yah baat sunkar sabhi majhi dar jaate hai, aur aapas me vichaar karte hai ki ab kya karna chahiye. aakhir sabhi majhi vichaar karte hai ki hum 8 10 majhi ek saath naav leke ganga me jayenge, aur wo log raat me apni apni naav leke jaate hai. machhali marte marte raat ho jati hai..

Achanak ganga ki dhara tej ho jaati hai, unchi unchi leheren uthne lagati hai, sabhi majhi trahi trahi karne lagte hai, tabhi ganga ki beech dhara se maa shitala prakat hoti hai. Maa shitsla ka divya swaroop dekhkar sabhi majhi achambhit ho jaate hai. aisa lagta hai jaise suraj aasmaan se girkar dharti pe aa gaya ho. ek haath me ghada(kalash), dusre me jhaadu maathe par suraj ke samaan chamakati bindiya, haatho me sone ka kangan, sir par ratna jadit mukut dharan kiye maa shitala sakshaat gardhabh pe sawaar thi, dhire dhire lehare saant ho gayi..

Tab mangar maanhi bola ki hey devi! aap kaun hai aur is tarah se hume kya dara rahi hai. tab maa shital amangar se kahati hai ki aye majhi mai shitala hu. meri murti yanha se nikalo.mere saath 14 aur murtiya bich dhara me padi hai. hum sabhi ko baari baari se nikalo, aur hame yahi sthaan do, tun sabka kalyan hoga.tab mangar bola, aapne nujhe hi nikalane ke liye kyo chuna. maa shitala boli ki jab tum ganga jal se archan de rahe the to wo jal hamare upar gira, maine tumhari puja swikar kar li hai. ab tum hame yanha se nikalo aur mandir banakar meri puja karo. Mangar bola puja-paath karana, karana to bramhano ka kaam hai, hum to machhali marte aur khaate hai, bhala hum kaise puja kara sakte hai..

Mangar ki baat sunkar maa shitala boli tum machhali maaro, machhali khao magar puj atum hi karao, kyoki ganga ki bich dhara se nato pandit nikaal sakta hai aur na maali. yah kaarya sirf tum log kar sakte ho. Tab mangar bola ki agar hum keaval aapki puja paath karenge to hamara parivaar kaise chalega. hamare bibi bachhe to bhukhe mar jayenge. nahi maa hum puja paath nahi kar payengehume chhama kijiye.tab maa shitala boli aye majhi tum apna karm karo, fal to tumhe mai dungi. tum iski chinta mat karo.mai tumhe ann dhan sampatti se itna bhar dungi ki tumhe aur tumhare parivaar walo ko kabhi koi kasht dukh nahi hoga.yah mera vardaan hai. Itna kah kar maa shitala antardhyaan ho jaati hai. Sabhi majhi vaapas gaon me aate hai..

Aapas me vichhaar karke sabhi phir naav aur jaal le ke ganga me jaate hai.sabhi majhi jaal dalkar bari bari se murtiyo ko nikalkar naav par laad lete hai, aur gaon me le aate hai. gaon me aake sab log vichaar karte hai ki mandir kanha banaya jayega. Tb mangar kehata hai mandir ke liye zameen mai dunga. phir usi zameen me mata shitala ka mandir bana. log shraddha bhaav se nitya din puja paath karne lage. Dhire dhire maa shitala ki kirti charo taraf failane lagi, din duna raat chauguna bhakto ki bhid aane lagi. Mandir me majhi hi panda pujari banke puja paath karane lage.

Maa shiatal ke darbaar me sabhi ki manokaamna puri hone lagi, dhire dhire pura gaon matamay aur bhaktimay ho gaya. Isi bich gaon me bhay byaapt ho gaya sabhi ke sarir mechhale padne lage, log ghabarane lage, sabhi najhi maa se binati karne lage, hey maa hum sabhi gaon wale din raat aapki seva kar rahe hai, phir bhi hume is tarah ka dukh mil raha hai, hamari raksha karo maa!! majhiyo ki pukaar sunke maa ne swapan diya ki murti nikalte samay maa galaka ki murti ganga mu reh gayi hai. yah unhi ka prakop ghai. jaldi unko nikalo aur mandir me sthaan do. sabhi gaon wale jaake ganga se maa galka ki murti nikalte hai aur mandir me sthapit karte hai, tab jkaake un sab ka dukh dur ho jaata hai. Mandir ki prasiddhi aur mahima dekh ke bagal gaon ke bhamhan samuday ke log jalne lagate hai. bramhan kahate hai ki puja hum karayenge, puja karana hamara janmsiddh adhikaar hai, puja hum karayenge. bramhan logo ka ye kritya dekh maa shiatala rusht ho jaati hai. bramhano ke gaon me haija ho jaata hai, aur sab log akaal mrityu se marne lagate hai. Tab saare bramhan jaake maa shitala se vinati karte haiki maa hum logo ko maaf karo, humaro raksha karo, hum puja nahi karayenge, maa tab wo logo ko jeevan daan deti hai. Majhi phir se mandir me puja archana karane lagate hai. Aaj bhi yaha majhi jaati ke log hi puja karatae hai..

Yahi katha hai jisse log dur dur se maata ke darshan ko aate hai. mata sita ne apna bachan nibhaya aur guhraj nishad ko diya vachan shitala bankar nibhaya. wohi guhraj nishad mangar majhi ke naam se jaane jate hai.
Bolo bolo mata shitala ki jai. Adalpura dham ki jai.

17 comments:

  1. This comment has been removed by the author.

    ReplyDelete
  2. jayakara mata shitala rani ki bolo adalpura dham ki jai.....

    ReplyDelete
  3. मेरी प्यारी माँ को मेरा प्रणाम स्वीकार हो।।।जय माता की

    ReplyDelete
  4. Bolo Sache darbar ki...
    Jai jai jai Sheetla maiya ki ...Jai
    Jai ho agayan maharaj ki Jai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jaykara adalpura dham ki boliye mata shitala ki jay

      Delete
  5. Jayakara shitala rani ki bolo adalpura darbar ki jai

    ReplyDelete
  6. Jai mata di.
    http://www.mereprabhu.com/2017/09/navratri-vrat-me-kya-khana-chahiye/

    ReplyDelete
  7. The best casino site
    Discover one of the best slots and casino sites in the world for 2021! Enjoy the widest variety of casino games and slots games, and also enjoy luckyclub.live exclusive bonuses  Rating: 4.9 · ‎10 votes

    ReplyDelete